Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jazba-e-dard-e-mohabbat ne agar sath diya

Nawab Moazzam Jah Shaji

jazba-e-dard-e-mohabbat ne agar sath diya

Nawab Moazzam Jah Shaji

MORE BYNawab Moazzam Jah Shaji

    jazba-e-dard-e-mohabbat ne agar saath diyā

    baat ban jā.egī qismat ne agar saath diyā

    aap uTheñge kab āġhosh-e-tamannā se mirī

    zindagī shab-e-furqat ne agar saath diyā

    saath degī na kabhī merī mohabbat merā

    aap chashm-e-ināyat ne agar saath diyā

    nahīñ ma.alūm ki anjām-e-mohabbat kyā ho

    ġham ḳhud ġham haqīqat ne agar saath diyā

    kahīñ gumnām na ho jaa.eñ vafā meñ merī

    merī rusvā.ī shohrat ne agar saath diyā

    bad-gumānī meñ mohabbat izāfa hogā

    ḳhud mirā merī musībat ne agar saath diyā

    chain se hogī basar apnī judā.ī meñ 'shajī.a'

    un nigāhoñ sharārat ne agar saath diyā

    jazba-e-dard-e-mohabbat ne agar sath diya

    baat ban jaegi qismat ne agar sath diya

    aap uThenge kab aaghosh-e-tamanna se meri

    zindagi ka shab-e-furqat ne agar sath diya

    sath degi na kabhi meri mohabbat mera

    aap ki chashm-e-inayat ne agar sath diya

    nahin malum ki anjam-e-mohabbat kya ho

    gham ka KHud gham ki haqiqat ne agar sath diya

    kahin gumnam na ho jaen wafa mein meri

    meri ruswai ki shohrat ne agar sath diya

    bad-gumani mein mohabbat ka izafa hoga

    KHud mera meri musibat ne agar sath diya

    chain se hogi basar apni judai mein 'shajia'

    un nigahon ki shararat ne agar sath diya

    Source:

    Jazbat-e-Shajee (Pg. 28)

    • Author: Nawab Moazzam Jah Shaji
      • Edition: 1983
      • Publisher: Husami Book Depot, Hyderabad
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now