Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jazba-e-shauq ka izhaar kahan hota hai

Jawed Manzar

jazba-e-shauq ka izhaar kahan hota hai

Jawed Manzar

MORE BYJawed Manzar

    jazba-e-shauq iz.hār kahāñ hotā hai

    yaañ haqīqat pe bhī ḳhvāboñ gumāñ hotā hai

    ahd-e-tiflī meñ jise ziist hāsil jaanā

    vaqt ab unhī bātoñ meñ ziyāñ hotā hai

    tum aaoge mirī ruuh meñ ḳhushbū ban kar

    ye tasavvur bhī ajab rāhat-e-jāñ hotā hai

    raat palkoñ pe sajātā huuñ vafāoñ ke charāġh

    din nikalne pe ye andāz kahāñ hotā hai

    ishq-e-shorīda ko ashkoñ se tamāshā na banā

    aag par paanī ke paḌne se dhuāñ hotā hai

    merā mahbūb hai kyā pūchhne vaale ab pūchh

    haañ ye 'manzar' bhī shab-o-roz vahāñ hotā hai

    jazba-e-shauq ka izhaar kahan hota hai

    yan haqiqat pe bhi KHwabon ka guman hota hai

    ahd-e-tifli mein jise zist ka hasil jaana

    waqt ka ab unhi baaton mein ziyan hota hai

    tum hi aaoge meri ruh mein KHushbu ban kar

    ye tasawwur bhi ajab rahat-e-jaan hota hai

    raat palkon pe sajata hun wafaon ke charagh

    din nikalne pe ye andaz kahan hota hai

    ishq-e-shorida ko ashkon se tamasha na bana

    aag par pani ke paDne se dhuan hota hai

    mera mahbub hai kya puchhne wale ab puchh

    han ye 'manzar' bhi shab-o-roz wahan hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now