Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jazba-o-ehsas ki shiddat ka andaza hua

Muslim Shameem

jazba-o-ehsas ki shiddat ka andaza hua

Muslim Shameem

MORE BYMuslim Shameem

    jazba-o-ehsās shiddat andāza huā

    har nafas har saañs meñ chāhat andāza huā

    ḳhvāb chehra sard lab āñkhoñ meñ chingārī rut

    vaqt-e-ruḳhsat dil kaifiyyat andāza huā

    hijr mausam jab aa.e vasl ḳhushbū khule

    fāsloñ ke darmiyāñ qurbat andāza huā

    qatra-e-shabnam meñ dekhūñ sho.alagī madd-o-jazr

    sub.h se shaam sūrat andāza huā

    dekh kar ātish-ba-jāñ kuchh muztarib vo bhī hue

    un se mil kar dard daulat andāza huā

    jazba-o-ehsas ki shiddat ka andaza hua

    har nafas har sans mein chahat ka andaza hua

    KHwab chehra sard lab aankhon mein chingari ki rut

    waqt-e-ruKHsat dil ki kaifiyyat ka andaza hua

    hijr ka mausam jab aae wasl ki KHushbu khule

    faslon ke darmiyan qurbat ka andaza hua

    qatra-e-shabnam mein dekhun shoalagi ka madd-o-jazr

    subh se hi sham ki surat ka andaza hua

    dekh kar aatish-ba-jaan kuchh muztarib wo bhi hue

    un se mil kar dard ki daulat ka andaza hua

    Source:

    Imkan (Pg. 105)

    • Author: Muslim Shameem
      • Publisher: Javedan Pulications, Karachi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now