jazbon ka bahao kam na hoga
jazboñ kā bahāo kam na hogā
dariyā kā chaḌhāo kam na hogā
bujh jaa.e anā kī aag lekin
is aag kā taao kam na hogā
kitnī hī rasad baḌhe havas kī
is jins kā bhaao kam na hogā
bāhar kī havā to yaḳh-zada hai
andar kā alaav kam na hogā
kyā dil kī kamāñ chaḌhī rahegī
kyā is kā tanāo kam na hogā
bā-vasf-e-ḳhatar ye shauq-e-dariyā
ai Dūbtī naav kam na hogā
jazbon ka bahao kam na hoga
dariya ka chaDhao kam na hoga
bujh jae ana ki aag lekin
is aag ka tao kam na hoga
kitni hi rasad baDhe hawas ki
is jins ka bhao kam na hoga
bahar ki hawa to yaKH-zada hai
andar ka alaw kam na hoga
kya dil ki kaman chaDhi rahegi
kya is ka tanao kam na hoga
ba-wasf-e-KHatar ye shauq-e-dariya
ai Dubti naw kam na hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.