Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jeb mein kauDi nahin ghar mein nahin dane ka nam

Navak Lakhnavi

jeb mein kauDi nahin ghar mein nahin dane ka nam

Navak Lakhnavi

MORE BYNavak Lakhnavi

    jeb meñ kauḌī nahīñ ghar meñ nahīñ daane naam

    saale sasure haiñ ki lete nahīñ jaane naam

    is se baḌh kar aur kyā hogā sharāfat subūt

    bārah thānoñ par likhā hai tere dīvāne naam

    maar kar DanDe bhagā.ī rahī hai rāt-din

    aur girānī mulk se letī nahīñ jaane naam

    sham.a apne husn kartī hai advertise ḳhud

    muft meñ badnām kar detī hai parvāne naam

    ik nazar se sab ko dekhe hai koī is daur meñ

    saarī duniyā zabāñ par aa.egā kaane naam

    board paḌh paate nahīñ vaa.iz palaT jaate haiñ ghar

    maddhushālā ho gayā hai jab se maiḳhāne naam

    ham to 'nāvak' āshiqī meñ jaan de sakte nahīñ

    un ke muñh par le liyā karte haiñ mar jaane naam

    jeb mein kauDi nahin ghar mein nahin dane ka nam

    sale sasure hain ki lete hi nahin jaane ka nam

    is se baDh kar aur kya hoga sharafat ka subut

    barah thanon par likha hai tere diwane ka nam

    mar kar DanDe bhagai ja rahi hai raat-din

    aur girani mulk se leti nahin jaane ka nam

    shama apne husn ka karti hai adwertise KHud

    muft mein badnam kar deti hai parwane ka nam

    ek nazar se sab ko dekhe hai koi is daur mein

    sari duniya ki zaban par aaega kane ka nam

    board paDh pate nahin waiz palaT jate hain ghar

    maddhushaala ho gaya hai jab se maiKHane ka nam

    hum to 'nawak' aashiqi mein jaan de sakte nahin

    un ke munh par le liya karte hain mar jaane ka nam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now