jhaDi jharna jhil kanwal
jhāḌī jharnā jhiil kañval
puurā chāñd chamaktā jal
chain mohabbat ThanDak chhāñv
bhīgī shaam harā jangal
dhuup ke aage bikhrā jaa.e
būḌhā jazbātī pīpal
gaañv kañval jhūle bāġhāt
sāvan giit dhanak āñchal
TukḌe-TukḌe qais kā sar
bastī kī bastī pāgal
maiñ jaagī to phail gayā
raat kī āñkhoñ meñ kājal
jhaDi jharna jhil kanwal
pura chand chamakta jal
chain mohabbat ThanDak chhanw
bhigi sham hara jangal
dhup ke aage bikhra jae
buDha jazbaati pipal
ganw kanwal jhule baghat
sawan git dhanak aanchal
TukDe-TukDe qais ka sar
basti ki basti pagal
main jagi to phail gaya
raat ki aankhon mein kajal
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 53)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.