jhil aankhen thin gulabon si jabin rakhta tha
jhiil āñkheñ thiiñ gulāboñ sī jabīñ rakhtā thā
shaam zulfoñ meñ chhupā kar vo kahīñ rakhtā thā
dhuup chhāñv sā vo ik shaḳhs mire shahr meñ thā
dil meñ haañ aur vo hoñToñ pe nahīñ rakhtā thā
us ke hoñToñ pe mahakte the vafāoñ ke kañval
apnī āñkhoñ meñ jo ashkoñ ke nagīñ rakhtā thā
us kī muTThī meñ nahīñ pyaar kā ik jugnū bhī
jo mohabbat ke sitāroñ pe yaqīñ rakhtā thā
aap apne meñ ba-zāhir to bahut ḳhush thā 'safī'
dil meñ dukhtī sī ḳharāsheñ bhī kahīñ rakhtā thā
jhil aankhen thin gulabon si jabin rakhta tha
sham zulfon mein chhupa kar wo kahin rakhta tha
dhup chhanw sa wo ek shaKHs mere shahr mein tha
dil mein han aur wo honTon pe nahin rakhta tha
us ke honTon pe mahakte the wafaon ke kanwal
apni aankhon mein jo ashkon ke nagin rakhta tha
us ki muTThi mein nahin pyar ka ek jugnu bhi
jo mohabbat ke sitaron pe yaqin rakhta tha
aap apne mein ba-zahir to bahut KHush tha 'safi'
dil mein dukhti si KHarashen bhi kahin rakhta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.