Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhil ki tah mein paDe murda shikaron ki tarah

Henana Berijis

jhil ki tah mein paDe murda shikaron ki tarah

Henana Berijis

MORE BYHenana Berijis

    jhiil ki tah meñ paḌe murda shikāroñ tarah

    Duub jā.eñge kabhī ham bhī hazāroñ tarah

    us āñkhoñ meñ na.ī rut hai paiġhām magar

    phertā bhī hai nazar jaatī bahāroñ tarah

    chār-dīvāroñ dil ā.ina-ḳhāna sahī

    ik samundar ko sañbhāle hai kināroñ tarah

    Dal ke siine se ukhāḌe ga.e sab surḳh kañval

    dekhte rah ga.e ham chaar chanāroñ tarah

    us aahaT se mahak uTThī hai vaadī saarī

    ham bhī ik aas meñ baiThe haiñ hazāroñ tarah

    jhil ki tah mein paDe murda shikaron ki tarah

    Dub jaenge kabhi hum bhi hazaron ki tarah

    us ki aankhon mein nai rut ka hai paigham magar

    pherta bhi hai nazar jati bahaaron ki tarah

    chaar-diwaron ka dil aaina-KHana hi sahi

    ek samundar ko sanbhaale hai kinaron ki tarah

    Dal ke sine se ukhaDe gae sab surKH kanwal

    dekhte rah gae hum chaar chanaron ki tarah

    us ki aahaT se mahak uTThi hai wadi sari

    hum bhi ek aas mein baiThe hain hazaron ki tarah

    Source:

    (Pg. 66)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now