Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhil mein chand muskuraata hai

Neelu Megh Neelam

jhil mein chand muskuraata hai

Neelu Megh Neelam

MORE BYNeelu Megh Neelam

    jhiil meñ chāñd muskurātā hai

    ye mujhe kaun yaad aatā hai

    vo milātā hai jab nazar se nazar

    barf meñ aag lagātā hai

    jab se vo ruuTh gayā mujh se

    merī āñkhoñ meñ muskurātā hai

    āj-kal dekh kar mirī jānib

    vo na.e giit gungunātā hai

    koī chhūtā hai jab badan merā

    vaqt nashshe meñ Duub jaatā hai

    dil se hotī hai duur har kulfat

    jab vo mere qarīb aatā hai

    achchhī lagtī huuñ maiñ use shāyad

    rabt mujh se jo vo baḌhātā hai

    aur khiltī hai haath meñ mehñdī

    muhr-e-bosa jo vo lagātā he

    jhil mein chand muskuraata hai

    ye mujhe kaun yaad aata hai

    wo milata hai jab nazar se nazar

    barf mein aag si lagata hai

    jab se wo ruTh sa gaya mujh se

    meri aankhon mein muskuraata hai

    aaj-kal dekh kar meri jaanib

    wo nae git gungunata hai

    koi chhuta hai jab badan mera

    waqt nashshe mein Dub jata hai

    dil se hoti hai dur har kulfat

    jab wo mere qarib aata hai

    achchhi lagti hun main use shayad

    rabt mujh se jo wo baDhata hai

    aur khilti hai hath mein mehndi

    muhr-e-bosa jo wo lagata he

    Source:

    Bahon Men Akash (Pg. 30)

    • Author: Neelu Megh Neelam
      • Publisher: Neelu Megh Neelam
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now