Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhilmil se kya rabt nikalen kashti ki taqdiron ka

Abbas Tabish

jhilmil se kya rabt nikalen kashti ki taqdiron ka

Abbas Tabish

MORE BYAbbas Tabish

    jhilmil se kyā rabt nikāleñ kashtī taqdīroñ

    taare kashf nahīñ kar sakte be-āvāz jazīroñ

    har nākāmī ne aise bhī kuchh dīvāreñ khīñchī haiñ

    ik be-naqsha shahr banā hai lā-hāsil tadbīroñ

    ik muddat se qarya-e-jāñ meñ jhaḌte haiñ jhankār ke phuul

    jaise mere jism ke andar mausam ho zanjīroñ

    duur se jhunD parindoñ lagte haiñ ḳheme vāloñ ko

    kis andāz aanā hai ye aag chhiḌakte tīroñ

    raat ga.e jab taare bhī kuchh be-ma.anī se lagte haiñ

    ek dabistāñ khultā hai un āñkhoñ tafsīroñ

    ek hathelī par us ne mahkā.e hinā sundar phuul

    ek hathelī qismat meñ likkhā dasht lakīroñ

    jhilmil se kya rabt nikalen kashti ki taqdiron ka

    tare kashf nahin kar sakte be-awaz jaziron ka

    har nakaami ne aise bhi kuchh diwaren khinchi hain

    ek be-naqsha shahr bana hai la-hasil tadbiron ka

    ek muddat se qarya-e-jaan mein jhaDte hain jhankar ke phul

    jaise mere jism ke andar mausam ho zanjiron ka

    dur se jhunD parindon ka lagte hain KHeme walon ko

    kis andaz ka aana hai ye aag chhiDakte tiron ka

    raat gae jab tare bhi kuchh be-mani se lagte hain

    ek dabistan khulta hai un aankhon ki tafsiron ka

    ek hatheli par us ne mahkae hina ki sundar phul

    ek hatheli ki qismat mein likkha dasht lakiron ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now