Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhonka nafas ka mauja-e-sarsar laga mujhe

Siddique Afghani

jhonka nafas ka mauja-e-sarsar laga mujhe

Siddique Afghani

MORE BYSiddique Afghani

    jhoñkā nafas mauja-e-sarsar lagā mujhe

    raat aa ga.ī to ḳhud se baḌā Dar lagā mujhe

    itnā gudāz hai mirā dil fart-e-dard se

    pheñkā kisī ne phuul to patthar lagā mujhe

    ḳhud ubhar ke Duub gayā apnī zaat meñ

    sūraj ik iztirāb paikar lagā mujhe

    ye shām-e-va.ada hai ki paḌāv hai vaqt

    ik lamha ik sadī ke barābar lagā mujhe

    jaise maiñ terī zaat aks-e-jamīl huuñ

    yuuñ bhī tire firāq meñ aksar lagā mujhe

    is shor meñ muhāl thā terā ḳhayāl bhī

    sahrā bhī tere shahr se behtar lagā mujhe

    dāman se dho rahā thā maiñ dhabbe gunāh ke

    qatra bhī āñsuoñ samundar lagā mujhe

    taaza havā meñ sukh koī saañs le sakūñ

    ai rabb-e-kā.ināt zarā par lagā mujhe

    jhonka nafas ka mauja-e-sarsar laga mujhe

    raat aa gai to KHud se baDa Dar laga mujhe

    itna gudaz hai mera dil fart-e-dard se

    phenka kisi ne phul to patthar laga mujhe

    KHud hi ubhar ke Dub gaya apni zat mein

    suraj ek iztirab ka paikar laga mujhe

    ye sham-e-wada hai ki paDaw hai waqt ka

    ek lamha ek sadi ke barabar laga mujhe

    jaise main teri zat ka aks-e-jamil hun

    yun bhi tere firaq mein aksar laga mujhe

    is shor mein muhaal tha tera KHayal bhi

    sahra bhi tere shahr se behtar laga mujhe

    daman se dho raha tha main dhabbe gunah ke

    qatra bhi aansuon ka samundar laga mujhe

    taza hawa mein sukh ka koi sans le sakun

    ai rabb-e-kainat zara par laga mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now