Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhuka jhuka bhi nahin tha khaDa khaDa bhi nahin

Tasleem Niyazi

jhuka jhuka bhi nahin tha khaDa khaDa bhi nahin

Tasleem Niyazi

MORE BYTasleem Niyazi

    jhukā jhukā bhī nahīñ thā khaḌā khaḌā bhī nahīñ

    vo aadmī nahīñ 'taslīm' to ḳhudā bhī nahīñ

    har ik sadā ta.āqub bhī kartā rahtā hai

    vo shaḳhs shahr meñ vaise nayā nayā bhī nahīñ

    mire ḳhayāl darvāza khaTkhaTātā hai

    vo ek shaḳhs jo mujh se kabhī milā bhī nahīñ

    maiñ tere jism chaukhaT pe ruk gayā aakar

    mirī nigāh taḳhtī pe kuchh likhā bhī nahīñ

    maiñ apne aap meñ ik ajnabī jazīra huuñ

    kisī ke paañv ke nīche kabhī paḌā bhī nahīñ

    zabān apnī lahū apnā tishnagī apnī

    kisī ḳhalīq-e-samundar aasrā bhī nahīñ

    mire vajūd jholī meñ Dāltā kyā vo

    siyāh raat dahlīz pe milā bhī nahīñ

    jhuka jhuka bhi nahin tha khaDa khaDa bhi nahin

    wo aadmi nahin 'taslim' to KHuda bhi nahin

    har ek sada ka taaqub bhi karta rahta hai

    wo shaKHs shahr mein waise naya naya bhi nahin

    mere KHayal ka darwaza khaTkhaTata hai

    wo ek shaKHs jo mujh se kabhi mila bhi nahin

    main tere jism ki chaukhaT pe ruk gaya aakar

    meri nigah ki taKHti pe kuchh likha bhi nahin

    main apne aap mein ek ajnabi jazira hun

    kisi ke panw ke niche kabhi paDa bhi nahin

    zaban apni lahu apna tishnagi apni

    kisi KHaliq-e-samundar ka aasra bhi nahin

    mere wajud ki jholi mein Dalta kya wo

    siyah raat ki dahliz pe mila bhi nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now