jhuke sajde mein hum aflak par uTh kar nikal aae
jhuke sajde meñ ham aflāk par uTh kar nikal aa.e
baḌī gahrā.ī meñ jā kar bahut uupar nikal aa.e
irāda thā zarā sī der āñkheñ band karne kā
magar manzar ke andar se ka.ī manzar nikal aa.e
baḌī muddat rahe dīvār par sākit ka.ī paikar
achānak ek din tasvīr se bāhar nikal aa.e
sitamgarān-shahr-e-shar yahāñ aisā na ho ik din
shikasta jism ke kāñdhoñ pe bāġhī sar nikal aa.e
batā.eñ kis tarah tanqīd meñ insāf barteñge
agar ham aap ke me'yār se behtar nikal aa.e
tum uḌne lag ga.e ho phir ga.ī guzrī fazāoñ meñ
tumhāre jism par shāyad purāne par nikal aa.e
vahāñ kyā guftugū kyā bahs kā me'yār honā hai
zarā sī baat par 'āsim' jahāñ ḳhanjar nikal aa.e
jhuke sajde mein hum aflak par uTh kar nikal aae
baDi gahrai mein ja kar bahut upar nikal aae
irada tha zara si der aankhen band karne ka
magar manzar ke andar se kai manzar nikal aae
baDi muddat rahe diwar par sakit kai paikar
achanak ek din taswir se bahar nikal aae
sitamgaran-shahr-e-shar yahan aisa na ho ek din
shikasta jism ke kandhon pe baghi sar nikal aae
bataen kis tarah tanqid mein insaf bartenge
agar hum aap ke me'yar se behtar nikal aae
tum uDne lag gae ho phir gai guzri fazaon mein
tumhaare jism par shayad purane par nikal aae
wahan kya guftugu kya bahs ka me'yar hona hai
zara si baat par 'asim' jahan KHanjar nikal aae
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 156)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.