Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhuT ki poshak par paiwand-kari kab talak

Tahir Saood Kiratpuri

jhuT ki poshak par paiwand-kari kab talak

Tahir Saood Kiratpuri

MORE BYTahir Saood Kiratpuri

    jhuuT poshāk par paivand-kārī kab talak

    ham se āḳhir ye batāo hoshiyārī kab talak

    sāhab-e-kashkol kuchh izzat rozī kar talāsh

    yuuñ ikaTThā karegā rezgārī kab talak

    raaz maiñ ne tum ko apnā de diyā kuchh soch kar

    dekhnā hai rakh sakoge rāzdārī kab talak

    ijz tākīd karte ho bahut taqrīr meñ

    ye batāo zālimoñ se inkisārī kab talak

    ja.al-sāzī kaTorī aur daane lobh ke

    kah rahe haiñ kuchh parinde ai shikārī kab talak

    ai havas ḳhoroñ mirī ma.asūm āñkhoñ ke liye

    ḳhvāb lāoge sunahre baarī baarī kab talak

    ab to vājib jaan le ta.alīm ko ai merī qaum

    soch yuuñ bahkā.enge ja.alī pujārī kab talak

    ham ko ye ġham na le Duube kahīñ ḳhallāq-e-ḳhalq

    be-zamīroñ par rahegī tāj-dārī kab talak

    vo bhī ik insān hai batlāo ai tāhir 'sa.ūd'

    ḳhvāh-maḳhvāh suntā rahe āḳhir tumhārī kab talak

    jhuT ki poshak par paiwand-kari kab talak

    hum se aaKHir ye batao hoshiyari kab talak

    sahab-e-kashkol kuchh izzat ki rozi kar talash

    yun ikaTTha tu karega rezgari kab talak

    raaz main ne tum ko apna de diya kuchh soch kar

    dekhna hai rakh sakoge raazdari kab talak

    ijz ki takid karte ho bahut taqrir mein

    ye batao zalimon se inkisari kab talak

    jal-sazi ki kaTori aur dane lobh ke

    kah rahe hain kuchh parinde ai shikari kab talak

    ai hawas KHoron meri masum aankhon ke liye

    KHwab laoge sunahre bari bari kab talak

    ab to wajib jaan le talim ko ai meri qaum

    soch yun bahkaenge jali pujari kab talak

    hum ko ye gham hi na le Dube kahin KHallaq-e-KHalq

    be-zamiron par rahegi taj-dari kab talak

    wo bhi ek insan hai batlao ai tahir 'saud'

    KHwah-maKHwah sunta rahe aaKHir tumhaari kab talak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now