jhuT sab ke chhap rahe the raat din aKHbar mein
jhuuT sab ke chhap rahe the raat din aḳhbār meñ
sach liye baiThe rahe ham muddatoñ bāzār meñ
mashvara hai pahle banñā tum sahārā baap kā
baa'd meñ paḌnā kisī bhī mah-jabīñ ke pyaar meñ
sachche jazbe 'ishq ulfat sab dikhāve haiñ miyāñ
tum se behtar koī motī kal sajegā haar meñ
kāñch to phir kāñch hī hai hiirā hone se rahā
vaqt zaa.e' kar rahe ho apnā tum bekār meñ
aur bhī afsurdagī hai aur bhī dukh haiñ yahāñ
ik faqat terā hī ġham to hai nahīñ sansār meñ
ab tavaqqo' raushnī kī ham se karnā hai fuzūl
dar banānā chāhiye thā aap ko dīvār meñ
jhuT sab ke chhap rahe the raat din aKHbar mein
sach liye baiThe rahe hum muddaton bazar mein
mashwara hai pahle banna tum sahaara bap ka
ba'd mein paDna kisi bhi mah-jabin ke pyar mein
sachche jazbe 'ishq ulfat sab dikhawe hain miyan
tum se behtar koi moti kal sajega haar mein
kanch to phir kanch hi hai hira hone se raha
waqt zae' kar rahe ho apna tum bekar mein
aur bhi afsurdagi hai aur bhi dukh hain yahan
ek faqat tera hi gham to hai nahin sansar mein
ab tawaqqo' raushni ki hum se karna hai fuzul
dar banana chahiye tha aap ko diwar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.