Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jigar ke KHun se tazin-e-baal-o-par kar di

Rabia Barni

jigar ke KHun se tazin-e-baal-o-par kar di

Rabia Barni

MORE BYRabia Barni

    jigar ke ḳhuun se taz.īn-e-bāl-o-par kar

    chaman-asīr ne yuuñ zindagī basar kar

    hikāyat-e-ġham-e-dil yuuñ bhī muḳhtasar thī

    tumhāre kahne se lo aur muḳhtasar kar

    mirī vafā kahānī se kaun vāqif thā

    tumhāre jaur ne tash.hīr dar-ba-dar kar

    qadam baḌhāo ki manzil qarīb hai shāyad

    tabhī to raah harīfoñ ne tañg tar kar

    ye kis jahān-e-tamannā phir ḳhayāl aayā

    ki jis ḳhayāl ne har shai azīz-tar kar

    shabān-e-zulf bāteñ tulūa-e-ruḳh ḳhair

    tamām umr ibādat meñ muḳhtasar kar

    na.e haiñ jām-o-subū bāda-o-ḳhumār nayā

    aur ham ne kohna-sharābī meñ shab sahar kar

    bahut ḳhuub thī rūdād-e-mausam-e-hastī

    tirī nigāh ke saa.e ne ḳhūb-tar kar

    na manziloñ ḳhabar hai na rāstoñ patā

    matā-e-qalb-o-nazar nazr-e-rāh par kar

    na.e shu.ūr na.e falsafe na.ī aqdār

    ayyār-e-ishq ne har kā.enāt sar kar

    jigar ke KHun se tazin-e-baal-o-par kar di

    chaman-asir ne yun zindagi basar kar di

    hikayat-e-gham-e-dil yun bhi muKHtasar hi thi

    tumhaare kahne se lo aur muKHtasar kar di

    meri wafa ki kahani se kaun waqif tha

    tumhaare jaur ne tashhir dar-ba-dar kar di

    qadam baDhao ki manzil qarib hai shayad

    tabhi to rah harifon ne tang tar kar di

    ye kis jahan-e-tamanna ka phir KHayal aaya

    ki jis KHayal ne har shai aziz-tar kar di

    shaban-e-zulf ki baaten tulua-e-ruKH ki KHair

    tamam umr ibaadat mein muKHtasar kar di

    nae hain jam-o-subu baada-o-KHumar naya

    aur hum ne kohna-sharabi mein shab sahar kar di

    bahut hi KHub thi rudad-e-mausam-e-hasti

    teri nigah ke sae ne KHub-tar kar di

    na manzilon ki KHabar hai na raston ka pata

    mata-e-qalb-o-nazar nazr-e-rah par kar di

    nae shuur nae falsafe nai aqdar

    ayyar-e-ishq ne har kaenat sar kar di

    Source:

    Parwaz-e-Shauq (Pg. 98)

    • Author: Rabia Barni
      • Publisher: Hasan Publishers & Book Promoters, Hyderabad
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now