Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jigar ki aab bujhe jis se jald wo shai la

Insha Allah Khan Insha

jigar ki aab bujhe jis se jald wo shai la

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    jigar aab bujhe jis se jald vo shai

    lagā ke barf meñ saaqī surāhī-e-mai

    qadam ko haath lagātā huuñ uTh kahīñ ghar chal

    ḳhudā ke vāste itne to paañv mat phailā

    nikal ke vāda-e-vahshat se dekh ai majnūñ

    ki kaisī dhuum se aatā hai nāqa-e-lailā

    girā jo haath se farhād ke kahīñ tesha

    darūn-e-koh se niklī sadā-e-vāvailā

    nazākat us gul-e-ra.anā dekhiye 'inshā'

    nasīm-e-sub.h jo chhū jaa.e rang ho mailā

    jigar ki aab bujhe jis se jald wo shai la

    laga ke barf mein saqi surahi-e-mai la

    qadam ko hath lagata hun uTh kahin ghar chal

    KHuda ke waste itne to panw mat phaila

    nikal ke wada-e-wahshat se dekh ai majnun

    ki kaisi dhum se aata hai naqa-e-laila

    gira jo hath se farhad ke kahin tesha

    darun-e-koh se nikli sada-e-wawaila

    nazakat us gul-e-rana ki dekhiye 'insha'

    nasim-e-subh jo chhu jae rang ho maila

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی (Pg. 73)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now