Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ji chahe kabe jao ji chahe but ko pujo

Waliullah Muhib

ji chahe kabe jao ji chahe but ko pujo

Waliullah Muhib

MORE BYWaliullah Muhib

    chāhe ka.abe jaao chāhe but ko puujo

    ye sun rakho 'muhib' tum āshiq kabhū na huujo

    ḳhuuñ sau diloñ hogā mashshāta terī gardan

    zulfoñ us TuuTā shāne se ek jo

    jis farishte ke par jalte hoñ paañv dharte

    dil us galī meñ sar se shāyāñ hai jaa.e jo

    ik-dam meñ dekh liijo phir jeb pāra-pāra

    be-fā.eda hai nāseh kartā hai rafū jo

    kis rashk-e-mehr-o-mah ke shā.eq haiñ dekhne ke

    haiñ mehr-o-māh phirte din-rāt kū-ba-kū jo

    kar tujhe halāvat kyā kyā uThāte haiñ vo

    kuchh dil dil meñ terī karte haiñ justujū jo

    kyā kyā na dāġh-e-hasrat sab dil dil meñ khāveñ

    majlis meñ gul-ruḳhoñ aave vo sham.a-rū jo

    taktā muqābil us ke kis se maah hove

    garm-e-suḳhan ho zarra vo mehr-e-sho.ala-ḳhū jo

    thī mauj āhū-e-chīñ aur sab habāb naafe

    dariyā par us ne khole gesū-e-mushkbū jo

    sail-e-sarishk mere pahuñche hai ġham meñ tere

    gulzār meñ ravāñ hai ai gul ye āb-jū jo

    gulshan meñ gar vo mai-kash aave sharāb piine

    gul bhare piyāla ġhunche hai subū jo

    kaale ke kāTne chaḌhtī hai lahr dil par

    zulf-e-siyāh us yaad aa.e hai kabhū jo

    ma.anī-shanās kuchh rutbe ko us ke samjhe

    ik tarz hai apnā andāz-e-guftugū jo

    āshiq na ham to hote par ai 'muhib' baġhal meñ

    dil hai vo dushman-e-jāñ piitā rahe lahū jo

    ji chahe kabe jao ji chahe but ko pujo

    ye sun rakho 'muhib' tum aashiq kabhu na hujo

    KHun sau dilon ka hoga mashshata teri gardan

    zulfon ka us ki TuTa shane se ek mu jo

    jis ja farishte ke par jalte hon panw dharte

    dil us gali mein sar se shayan hai jae tu jo

    ik-dam mein dekh lijo phir jeb para-para

    be-faeda hai naseh karta hai tu rafu jo

    kis rashk-e-mehr-o-mah ke shaeq hain dekhne ke

    hain mehr-o-mah phirte din-raat ku-ba-ku jo

    pa kar tujhe halawat kya kya uThate hain wo

    kuchh dil hi dil mein teri karte hain justuju jo

    kya kya na dagh-e-hasrat sab dil hi dil mein khawen

    majlis mein gul-ruKHon ki aawe wo shama-ru jo

    takta muqabil us ke kis ru se mah howe

    garm-e-suKHan ho zarra wo mehr-e-shoala-KHu jo

    thi mauj aahu-e-chin aur sab habab nafe

    dariya par us ne khole gesu-e-mushkbu jo

    sail-e-sarishk mere pahunche hai gham mein tere

    gulzar mein rawan hai ai gul ye aab-ju jo

    gulshan mein gar wo mai-kash aawe sharab pine

    gul ka bhare piyala ghunche ki hai subu jo

    kale ke kaTne ki chaDhti hai lahr dil par

    zulf-e-siyah us ki yaad aae hai kabhu jo

    mani-shanas hi kuchh rutbe ko us ke samjhe

    ek tarz ka hai apna andaz-e-guftugu jo

    aashiq na hum to hote par ai 'muhib' baghal mein

    dil hai wo dushman-e-jaan pita rahe lahu jo

    Source:

    Deewan-e-Waleeullah Muhib (Pg. e-59 p-58)

    • Author: Waliullah Muhib
      • Edition: 1999
      • Publisher: Sangat Publishers, Lahore
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now