aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ji mein aata hai ki phir mizhgan ko barham kijiye

Josh Malihabadi

ji mein aata hai ki phir mizhgan ko barham kijiye

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    meñ aatā hai ki phir mizhgāñ ko barham kījiye

    kāsa-e-dil le ke phir daryūza-e-ġham kījiye

    gūñjtā thā jis se koh-e-be-sutūn o dasht-e-najd

    gosh-e-jāñ ko phir unhīñ nāloñ mahram kījiye

    husn-e-be-parvā ko de kar dāvat-e-lutf-o-karam

    ishq ke zer-e-nagīñ phir har do aalam kījiye

    daur-e-peshīñ tarah phir Dāliye siine meñ zaḳhm

    zaḳhm lazzat se phir tayyār marham kījiye

    sub.h se shaam rahiye qissa-e-āriz meñ gum

    shaam se sub.h zikr-e-zulf-e-barham kījiye

    din ke hañgāmoñ ko kījiye dil ke sannāTe meñ ġharq

    raat ḳhāmoshiyoñ ko vaqf-e-mātam kījiye

    dā.imī ālām ḳhūgar banā kar ruuh ko

    nā-gahānī hādsoñ gardaneñ ḳham kījiye

    ġhaiz dauḌī huī hai lahar asnām meñ

    'josh' ab ahl-e-haram se dostī kam kījiye

    ji mein aata hai ki phir mizhgan ko barham kijiye

    kasa-e-dil le ke phir daryuza-e-gham kijiye

    gunjta tha jis se koh-e-be-sutun o dasht-e-najd

    gosh-e-jaan ko phir unhin nalon ka mahram kijiye

    husn-e-be-parwa ko de kar dawat-e-lutf-o-karam

    ishq ke zer-e-nagin phir har do aalam kijiye

    daur-e-peshin ki tarah phir Daliye sine mein zaKHm

    zaKHm ki lazzat se phir tayyar marham kijiye

    subh se ta sham rahiye qissa-e-ariz mein gum

    sham se ta subh zikr-e-zulf-e-barham kijiye

    din ke hangamon ko kijiye dil ke sannaTe mein gharq

    raat ki KHamoshiyon ko waqf-e-matam kijiye

    daimi aalam ka KHugar bana kar ruh ko

    na-gahani hadson ki gardanen KHam kijiye

    ghaiz ki dauDi hui hai lahar si asnam mein

    'josh' ab ahl-e-haram se dosti kam kijiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now