Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ji raha hun main udasi bhari taswir ke sath

Azhar Naiyyar

ji raha hun main udasi bhari taswir ke sath

Azhar Naiyyar

MORE BYAzhar Naiyyar

    rahā huuñ maiñ udāsī bharī tasvīr ke saath

    shor kartā huuñ siyah raat meñ zanjīr ke saath

    surḳh phūloñ ghanī chhāñv meñ chupke chupke

    mujh se miltā thā koī ik na.ī tanvīr ke saath

    ik tirī yaad ki har saañs ke nazdīk rahī

    ik tirā dard ki chaspāñ rahā taqdīr ke saath

    kabhī zaḳhmoñ bhī ḳhanda-e-gul mausam

    ham pe khultā rahā ik dard tafsīr ke saath

    baat aapas hai aapas meñ rahne diije

    varna ham surḳhiyāñ ban jā.eñge tash.hīr ke saath

    aap mez pe phir ek nayā manzar hai

    merī tasvīr bhī hai aap tasvīr ke saath

    dil ke nazdīk sar-e-shām-e-alam ai 'nayyar'

    zaḳhm ke chāñd chamak uThte haiñ tanvīr ke saath

    ji raha hun main udasi bhari taswir ke sath

    shor karta hun siyah raat mein zanjir ke sath

    surKH phulon ki ghani chhanw mein chupke chupke

    mujh se milta tha koi ek nai tanwir ke sath

    ek teri yaad ki har sans ke nazdik rahi

    ek tera dard ki chaspan raha taqdir ke sath

    kabhi zaKHmon ka bhi KHanda-e-gul ka mausam

    hum pe khulta raha ek dard ki tafsir ke sath

    baat aapas ki hai aapas hi mein rahne dije

    warna hum surKHiyan ban jaenge tashhir ke sath

    aap ki mez pe phir ek naya manzar hai

    meri taswir bhi hai aap ki taswir ke sath

    dil ke nazdik sar-e-sham-e-alam ai 'nayyar'

    zaKHm ke chand chamak uThte hain tanwir ke sath

    Source:

    Saye Babool Ke (Pg. 53)

    • Author: Azhar Naiyyar
      • Edition: 2014
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now