ji rahe hain aaj-kal sab aadmi rote hue
jī rahe haiñ āj-kal sab aadmī rote hue
kaaT lī ham ne bhī apnī zindagī rote hue
hai ‘atā-karda usī kī zindagī ye aap kī
kījiye apne ḳhudā kī bandagī rote hue
tū ne hālat par hamārī rahm kuchh khāyā nahīñ
vaqt-e-furqat diid kī ham ne tirī rote hue
aap Thahre chārāgar par aap ke bīmāroñ ko
dekhne vāloñ ne dekhā har ghaḌī rote hue
ek din ham ko hamāre ghar se kar deñge vidā'
kyā parā.e aur kyā apne sabhī rote hue
haañ magar is kā mudāvā karne se 'ājiz rahe
sab ne 'nāzāñ' dāstān-e-ġham sunī rote hue
ji rahe hain aaj-kal sab aadmi rote hue
kaT li hum ne bhi apni zindagi rote hue
hai ‘ata-karda usi ki zindagi ye aap ki
kijiye apne KHuda ki bandagi rote hue
tu ne haalat par hamari rahm kuchh khaya nahin
waqt-e-furqat did ki hum ne teri rote hue
aap Thahre chaaragar par aap ke bimaron ko
dekhne walon ne dekha har ghaDi rote hue
ek din hum ko hamare ghar se kar denge wida'
kya parae aur kya apne sabhi rote hue
han magar is ka mudawa karne se 'ajiz rahe
sab ne 'nazan' dastan-e-gham suni rote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.