Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jina hai agar tujhko KHugar ho tamanna ka

Ameen Hazin

jina hai agar tujhko KHugar ho tamanna ka

Ameen Hazin

MORE BYAmeen Hazin

    jiinā hai agar tujh ko ḳhūgar ho tamanna

    andāz ḳhalīlī hai maslak hai ye muusā

    be-āb-e-tamanna dil jazbāt se aarī hai

    manzar kabhī dekhā hai sūkhe hue dariyā

    mahbūb hai mai-kash ko rindoñ baġhal meñ hai

    lekin ye taqarrub hai baada se miinā

    thā jazb-o-kashish jis meñ vo sham.a-e-tajallī thī

    zaa.er koī kyūñkar ho ab vādī-e-sīnā

    chaḌhte hue sūraj ke tevar kabhī dekhe haiñ

    āġhāz hai ā.īna anjām-e-tamannā

    islāh duniyā meñ us dil ḳhudā-hāfiz

    paidā na huā jis meñ ehsās tauba

    sīkhā hai 'amīñ' maiñ ne hātif se ġhazal kahnā

    ye naġhma-e-jāñ-parvar hai bulbul-e-sidra

    jina hai agar tujh ko KHugar ho tamanna ka

    andaz KHalili hai maslak hai ye musa ka

    be-ab-e-tamanna dil jazbaat se aari hai

    manzar kabhi dekha hai sukhe hue dariya ka

    mahbub hai mai-kash ko rindon ki baghal mein hai

    lekin ye taqarrub hai baada hi se mina ka

    tha jazb-o-kashish jis mein wo shama-e-tajalli thi

    zaer koi kyunkar ho ab wadi-e-sina ka

    chaDhte hue suraj ke tewar kabhi dekhe hain

    aaghaz hai aaina anjam-e-tamanna ka

    islah ki duniya mein us dil ka KHuda-hafiz

    paida na hua jis mein ehsas hi tauba ka

    sikha hai 'amin' main ne hatif se ghazal kahna

    ye naghma-e-jaan-parwar hai bulbul-e-sidra ka

    Source:

    Gulbaang-e-Hayat (Pg. 69)

    • Author: Ameen Hazin
      • Publisher: Urdu Academy, Lahore
      • Year of Publication: 1940
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now