Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jine aae hi muKHtasar ji len

Ravendr Jain

jine aae hi muKHtasar ji len

Ravendr Jain

MORE BYRavendr Jain

    jiine aa.e muḳhtasar leñ

    ranj ho ḳhushī magar leñ

    umr kuchh bhī ho zindagī kam hai

    ġhair-mumkin hai umr-bhar leñ

    chand yādeñ jo apnā hissa haiñ

    un ḳhushiyoñ ko baañT kar leñ

    bas isī meñ hai shaan jiine

    apne apne maqām par leñ

    un himmat hai jo qadam-ba-qadam

    maut ke saath sar-basar leñ

    baat jab hai ki yādgār bane

    fā.eda kyā jo be-asar leñ

    mausamoñ ko uThā ke kāñdhoñ par

    kaash ham sūrat-e-shajar leñ

    kaun raah se baḌheñ aage

    kaun se moḌ par Thahar leñ

    kaam ham ko diyā gayā hai yahī

    giit kar nagar-nagar leñ

    tum ki lo ḳhushī mahfil meñ

    ham ki nākāmiyoñ ke ghar leñ

    ḳhāna-e-jam to ujaḌtā hai

    aap kitnā ban-sañvar leñ

    ham isī aarzū pe marte haiñ

    Daal de pyaar nazar leñ

    jine aae hi muKHtasar ji len

    ranj ho ya KHushi magar ji len

    umr kuchh bhi ho zindagi kam hai

    ghair-mumkin hai umr-bhar ji len

    chand yaaden jo apna hissa hain

    un ki KHushiyon ko banT kar ji len

    bas isi mein hai shan jine ki

    apne apne maqam par ji len

    un ki himmat hai jo qadam-ba-qadam

    maut ke sath sar-basar ji len

    baat jab hai ki yaadgar bane

    faeda kya jo be-asar ji len

    mausamon ko uTha ke kandhon par

    kash hum surat-e-shajar ji len

    kaun si rah se baDhen aage

    kaun se moD par Thahar ji len

    kaam hum ko diya gaya hai yahi

    git ga kar nagar-nagar ji len

    tum ki ji lo KHushi ki mahfil mein

    hum ki nakaamiyon ke ghar ji len

    KHana-e-jam to ujaDta hi hai

    aap kitna hi ban-sanwar ji len

    hum isi aarzu pe marte hain

    Dal de pyar ki nazar ji len

    Source:

    Ujalon Ka Silsila (Pg. 75)

    • Author: Ravendr Jain
      • Publisher: Inder Kiran Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now