Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jine ka wasila bhi asbab bhi badlenge

Shahid Anwar

jine ka wasila bhi asbab bhi badlenge

Shahid Anwar

MORE BYShahid Anwar

    jiine vasīla bhī asbāb bhī badleñge

    maujoñ ko to badleñge sailāb bhī badleñge

    tahzīb-o-tamaddun virse meñ mile ham ko

    ham tum ko to badleñge ādāb bhī badleñge

    me.aar badal degā ḳhud apnī haqīqat yuuñ

    hāsil jo kiye vo sab alqāb bhī badleñge

    ehsās-e-mohabbat meñ ye soch bhī shāmil

    jis meñ na ho shāmil vo ḳhvāb bhī badleñge

    sho.aloñ numā.ish meñ da.avā bhī ye shāmil thā

    jo un ko bujhā.egā vo aab bhī badleñge

    māñgo na duā 'shāhid' gardish se nikalne

    hālāt badalte haiñ ahbāb bhī badleñge

    jine ka wasila bhi asbab bhi badlenge

    maujon ko to badlenge sailab bhi badlenge

    tahzib-o-tamaddun hi wirse mein mile hum ko

    hum tum ko to badlenge aadab bhi badlenge

    mear badal dega KHud apni haqiqat yun

    hasil jo kiye wo sab alqab bhi badlenge

    ehsas-e-mohabbat mein ye soch bhi shamil ki

    tu jis mein na ho shamil wo KHwab bhi badlenge

    shoalon ki numaish mein dawa bhi ye shamil tha

    jo un ko bujhaega wo aab bhi badlenge

    mango na dua 'shahid' gardish se nikalne ki

    haalat badalte hain ahbab bhi badlenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now