jite ji leta raha main nam us ka
jiite jī letā rahā maiñ naam us kā
marte dam aayā nahīñ paiġhām us kā
'umr-bhar ḳhud ko batātā rah gayā maiñ
paas jā phir haath phaT se thaam us kā
uf ye bechainī ye merī chhaT-paTāhaT
kar na paa.ī aaj tak ik kaam us kā
aur merī zindagī meñ kyā milegā
dard aañsū jo bhī hai in'ām us kā
aaj sab kuchh haar kar ke sochtā huuñ
chal paḌūñ maiñ jis taraf hai dhaam us kā
jite ji leta raha main nam us ka
marte dam aaya nahin paigham us ka
'umr-bhar KHud ko batata rah gaya main
pas ja phir hath phaT se tham us ka
uf ye bechaini ye meri chhaT-paTahaT
kar na pai aaj tak ek kaam us ka
aur meri zindagi mein kya milega
dard aansu jo bhi hai in'am us ka
aaj sab kuchh haar kar ke sochta hun
chal paDun main jis taraf hai dham us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.