Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jiwan ka ye khel tamasha yunhi chalta rahta hai

Aftab Ahmad Shah

jiwan ka ye khel tamasha yunhi chalta rahta hai

Aftab Ahmad Shah

MORE BYAftab Ahmad Shah

    jīvan ye khel tamāshā yūñhī chaltā rahtā hai

    din phirte haiñ logoñ meñ aur vaqt badaltā rahtā hai

    yāroñ se ham vaqt-e-balā meñ āñkheñ pher to lete haiñ

    lekin ik an-jānā dukh dil meñ paltā rahtā hai

    nazreñ ḳhīra kar detī hai ek jhalak lailāoñ

    aur phir insāñ puurā jīvan āñkheñ maltā rahtā hai

    muft rog na paalo dil meñ ko mat halkān karo

    duniyā har chaḌhtā sūraj āḳhir Dhaltā rahtā hai

    hijr āñdhī aisī aa.ī sab kuchh le kar saath ga.ī

    phir bhī dil meñ aas dīpak bujhtā jaltā rahtā hai

    log chhupā.e phirte haiñ patthar siloñ ko sīnoñ meñ

    ek hamārā dil bechāra aag ugaltā rahtā hai

    jiwan ka ye khel tamasha yunhi chalta rahta hai

    din phirte hain logon mein aur waqt badalta rahta hai

    yaron se hum waqt-e-bala mein aankhen pher to lete hain

    lekin ek an-jaana sa dukh dil mein palta rahta hai

    nazren KHira kar deti hai ek jhalak lailaon ki

    aur phir insan pura jiwan aankhen malta rahta hai

    muft ka rog na palo dil mein ji ko mat halkan karo

    duniya ka har chaDhta suraj aaKHir Dhalta rahta hai

    hijr ki aandhi aisi aai sab kuchh le kar sath gai

    phir bhi dil mein aas ka dipak bujhta jalta rahta hai

    log chhupae phirte hain patthar ki silon ko sinon mein

    ek hamara dil bechaara aag ugalta rahta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now