Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jiwan pustak phaT jati hai kaghaz pila ho jata hai

Shakeel Azmi

jiwan pustak phaT jati hai kaghaz pila ho jata hai

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    jīvan pustak phaT jaatī hai kāġhaz piilā ho jaatā hai

    aañsū koī laakh chhupā.e dāman giilā ho jaatā hai

    bachchoñ ke sachche zehnoñ meñ jhūTī bāteñ mat Daalo

    kāñToñ sohbat meñ rah kar phuul nukīlā ho jaatā hai

    din-bhar to ham donoñ mil kar paanī shakar milāte haiñ

    raat aate saarā sharbat kyoñ zahrīlā ho jaatā hai

    insāno tum patthar-dil ho mol namak kyā jānoge

    ye vo ġham hai jis ko khā kar bartan siilā ho jaatā hai

    ā.īne ko ghar meñ rakh de saath meñ le ke mat ghūmā kar

    sach dhuup meñ rahte rahte chehra niilā ho jaatā hai

    chāhe aadam duniyā ho chhoTā ghar ho merā

    dhīre-dhīre ek aadmī ek qabīla ho jaatā hai

    giyān diye duniyā ko kyā-kyā lekin ḳhud anjān rahe

    apne tan par apnā kurtā aksar Dhīlā ho jaatā hai

    jiwan pustak phaT jati hai kaghaz pila ho jata hai

    aansu koi lakh chhupae daman gila ho jata hai

    bachchon ke sachche zehnon mein jhuTi baaten mat Dalo

    kanTon ki sohbat mein rah kar phul nukila ho jata hai

    din-bhar to hum donon mil kar pani shakar milate hain

    raat aate hi sara sharbat kyon zahrila ho jata hai

    insano tum patthar-dil ho mol namak ka kya jaanoge

    ye wo gham hai jis ko kha kar bartan sila ho jata hai

    aaine ko ghar mein rakh de sath mein le ke mat ghuma kar

    sach ki dhup mein rahte rahte chehra nila ho jata hai

    chahe aadam ki duniya ho ya chhoTa sa ghar ho mera

    dhire-dhire ek aadmi ek qabila ho jata hai

    giyan diye duniya ko kya-kya lekin KHud anjaan rahe

    apne tan par apna kurta aksar Dhila ho jata hai

    Source:

    Dil Parinda Hai (Pg. 107)

    • Author: Shakeel Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2023
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now