jin ka uncha maqam hota hai
jin kā ūñchā maqām hotā hai
un kā duniyā meñ naam hotā hai
ham ne dekhā hai mai-kade ke sivā
har jagah ḳhās-o-'ām hotā hai
ḳhuun bahtā hai be-gunāhoñ kā
jab kahīñ qatl-e-'ām hotā hai
us ko ḳhushiyāñ kabhī nahīñ miltīñ
jo havas kā ġhulām hotā hai
dūriyāñ qurbatoñ meñ Dhaltī haiñ
jab salām-o-payām hotā hai
koī zarra kabhī kahāñ 'ġhaibī'
qābil-e-ehtirām hotā hai
jin ka uncha maqam hota hai
un ka duniya mein nam hota hai
hum ne dekha hai mai-kade ke siwa
har jagah KHas-o-'am hota hai
KHun bahta hai be-gunahon ka
jab kahin qatl-e-'am hota hai
us ko KHushiyan kabhi nahin miltin
jo hawas ka ghulam hota hai
duriyan qurbaton mein Dhalti hain
jab salam-o-payam hota hai
koi zarra kabhi kahan 'ghaibi'
qabil-e-ehtiram hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.