Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jin ki aankhon mein tere KHwab hua karte hain

Khan Hasnain Aqib

jin ki aankhon mein tere KHwab hua karte hain

Khan Hasnain Aqib

MORE BYKhan Hasnain Aqib

    jin āñkhoñ meñ tire ḳhvāb huā karte haiñ

    vo tirī diid se sairāb huā karte haiñ

    niiñd bhī lāzmī hai dīda-e-hairat ke liye

    ḳhvāb yuuñ to nahīñ ḳhvāb huā karte haiñ

    kuchh āñkhoñ meñ bhī jal uThte haiñ hasrat ke charāġh

    aur kuchh chehre bhī mahtāb huā karte haiñ

    kuchh takalluf bhī zarūrī hai mohabbat ke liye

    kuchh mohabbat ke bhī ādāb huā karte haiñ

    ishq khātā hai qasam jin vo āshiq haiñ ham

    ya.anī ham jaise to kamyāb huā karte haiñ

    chāhte haiñ jo tujhe un mohabbat 'āqib'

    tujh se mansūb jo alqāb huā karte haiñ

    jin ki aankhon mein tere KHwab hua karte hain

    wo teri did se sairab hua karte hain

    nind bhi lazmi hai dida-e-hairat ke liye

    KHwab yun hi to nahin KHwab hua karte hain

    kuchh ki aankhon mein bhi jal uThte hain hasrat ke charagh

    aur kuchh chehre bhi mahtab hua karte hain

    kuchh takalluf bhi zaruri hai mohabbat ke liye

    kuchh mohabbat ke bhi aadab hua karte hain

    ishq khata hai qasam jin ki wo aashiq hain hum

    yani hum jaise to kamyab hua karte hain

    chahte hain jo tujhe un ki mohabbat 'aqib'

    tujh se mansub jo alqab hua karte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now