Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jinko har rang mein jine ka kamal aata hai

Dharmpal Aaqil

jinko har rang mein jine ka kamal aata hai

Dharmpal Aaqil

MORE BYDharmpal Aaqil

    jin ko har rang meñ jiine kamāl aatā hai

    un ke ā.īna-e-dil meñ kahīñ baal aatā hai

    kaun suntā hai sadā TuuTe diloñ ai dil

    ġham-nasīboñ bhalā kis ko ḳhayāl aatā hai

    yuuñ to mansūr bane phirte haiñ kuchh log magar

    un ke hosh uḌte haiñ jab sar savāl aatā hai

    ham ki āzād haiñ ḳhush-bāsh parindoñ tarah

    kuchh bhī hotā rahe kab dil meñ malāl aatā hai

    dil meñ jal uThtī haiñ sau sham.eñ hasīñ yādoñ

    jab hameñ ahd-e-javānī ḳhayāl aatā hai

    kyoñ unheñ ḳhabt mohabbat hai jin ke aage

    jiine marne mohabbat meñ savāl aatā hai

    jis ke muhtāj shahanshāh bhī haiñ ai 'āqil'

    ham faqīroñ ko ik aisā bhī kamāl aatā hai

    jin ko har rang mein jine ka kamal aata hai

    un ke aaina-e-dil mein kahin baal aata hai

    kaun sunta hai sada TuTe dilon ki ai dil

    gham-nasibon ka bhala kis ko KHayal aata hai

    yun to mansur bane phirte hain kuchh log magar

    un ke hosh uDte hain jab sar ka sawal aata hai

    hum ki aazad hain KHush-bash parindon ki tarah

    kuchh bhi hota rahe kab dil mein malal aata hai

    dil mein jal uThti hain sau shamen hasin yaadon ki

    jab hamein ahd-e-jawani ka KHayal aata hai

    kyon unhen KHabt mohabbat ka hai jin ke aage

    jine marne ka mohabbat mein sawal aata hai

    jis ke muhtaj shahanshah bhi hain ai 'aqil'

    hum faqiron ko ek aisa bhi kamal aata hai

    Source:

    Khoon-e-Jigar (Pg. 38)

    • Author: Dharmpal Aaqil
      • Publisher: Sunder Kitab Ghar, Shimla
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now