jin par nisar shams-o-qamar aasman ke hain

jin par nisar shams-o-qamar aasman ke hain
Bishan Narayen Darabar
MORE BYBishan Narayen Darabar
jin par nisār shams-o-qamar āsmāñ ke haiñ
do zarre ḳhāk-e-kishvar-e-hindostāñ ke haiñ
kohsār fasl-e-gul meñ paristāñ se kam nahīñ
kyā kyā tilism sabza-e-āb-e-ravāñ ke haiñ
aḳhlāq vaz.a tarz ravish sab meñ inqalāb
ab rañg-Dhañg aur hī pīr-o-javāñ ke haiñ
hai aql dañg saf.ha-e-avval meñ aaj tak
kahne ko garche saat varaq āsmāñ ke haiñ
jin par nisar shams-o-qamar aasman ke hain
do zarre KHak-e-kishwar-e-hindostan ke hain
kohsar fasl-e-gul mein paristan se kam nahin
kya kya tilism sabza-e-ab-e-rawan ke hain
aKHlaq waza tarz rawish sab mein inqalab
ab rang-Dhang aur hi pir-o-jawan ke hain
hai aql dang safha-e-awwal mein aaj tak
kahne ko garche sat waraq aasman ke hain
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 65)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.