jinhon ne toD diye the mere banae charagh
jinhoñ ne toḌ diye the mire banā.e charāġh
vo nauha-ḳhvāñ haiñ añdhere meñ hā.e-hā.e charāġh
shab-e-siyāh meñ donoñ haiñ mā.il-e-paikār
havā kā mashvara un kā hai merī raa.e charāġh
kisī ko ġham ki mayassar nahīñ hai māchis bhī
kisī ke baḳht meñ aa.e jale-jalā.e charāġh
kisī kī zaat se mundarja-zel haiñ mansūb
firāq shaam añgūThī gulāb chaa.e charāġh
phir aaj mahfil-e-'ushshāq meñ añdherā hai
so dil jalā.e koī yā to phir jalā.e charāġh
jinhon ne toD diye the mere banae charagh
wo nauha-KHwan hain andhere mein hae-hae charagh
shab-e-siyah mein donon hain mail-e-paikar
hawa ka mashwara un ka hai meri rae charagh
kisi ko gham ki mayassar nahin hai machis bhi
kisi ke baKHt mein aae jale-jalae charagh
kisi ki zat se mundarja-zel hain mansub
firaq sham anguThi gulab chae charagh
phir aaj mahfil-e-'ushshaq mein andhera hai
so dil jalae koi ya to phir jalae charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.