Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis baat ka KHadsha tha wahi baat hui hai

Rasheed Afroz

jis baat ka KHadsha tha wahi baat hui hai

Rasheed Afroz

MORE BYRasheed Afroz

    jis baat ḳhadsha thā vahī baat huī hai

    ghar duur bahut duur hai jab raat huī hai

    tā-hadd-e-nazar vādī-e-vīrāñ zamīñ par

    kal raat musalsal ghanī barsāt huī hai

    pahle kabhī dekhā to nahīñ hai tumheñ lekin

    mahsūs ye hotā hai mulāqāt huī hai

    yuuñ ham ne sañvārī hai ye tahrīr-e-mohabbat

    alfāz nuqtoñ mudārāt huī hai

    sāhil pe jo pahuñchā mujhe dariyā ne sadā

    is khel meñ pahle bhī tumheñ maat huī hai

    ehsās-e-ġham-e-zāt ne chuppī lagā

    jis vaqt zamāne se mulāqāt huī hai

    jis baat ka KHadsha tha wahi baat hui hai

    ghar dur bahut dur hai jab raat hui hai

    ta-hadd-e-nazar wadi-e-viran ki zamin par

    kal raat musalsal ghani barsat hui hai

    pahle kabhi dekha to nahin hai tumhein lekin

    mahsus ye hota hai mulaqat hui hai

    yun hum ne sanwari hai ye tahrir-e-mohabbat

    alfaz ki nuqton ki mudaraat hui hai

    sahil pe jo pahuncha mujhe dariya ne sada di

    is khel mein pahle bhi tumhein mat hui hai

    ehsas-e-gham-e-zat ne chuppi si laga di

    jis waqt zamane se mulaqat hui hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now