Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis dam KHayal-e-yar ki be-chehragi gai

Farah Rizwi

jis dam KHayal-e-yar ki be-chehragi gai

Farah Rizwi

MORE BYFarah Rizwi

    jis dam ḳhayāl-e-yār be-chehragī ga.ī

    ā.īna-e-firāq se be-raunaqī ga.ī

    baiThā ġhubār-e-hasrat-e-ta.amīr ab baar

    shauq-e-safar raah meñ āvārgī ga.ī

    vahshat hamāre zabt ujḌā mazār hai

    lākhoñ jatan kiye na sarāsīmgī ga.ī

    ham se qabā-e-dard pe taare na Tañk sake

    kasb-e-hunar taak meñ vāmāñdgī ga.ī

    hone e'tibār banātī sahar ke saath

    kirnoñ be-niyāz tar-o-tāzgī ga.ī

    jis dam KHayal-e-yar ki be-chehragi gai

    aaina-e-firaq se be-raunaqi gai

    baiTha ghubar-e-hasrat-e-tamir ab ki bar

    shauq-e-safar ki rah mein aawargi gai

    wahshat hamare zabt ka ujDa mazar hai

    lakhon jatan kiye na sarasimgi gai

    hum se qaba-e-dard pe tare na Tank sake

    kasb-e-hunar ki tak mein wamandgi gai

    hone ka e'tibar banati sahar ke sath

    kirnon ki be-niyaz tar-o-tazgi gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now