Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ghaDi lahja tumhaara Khaar jaisa ho gaya

Asad Bijnori Alig

jis ghaDi lahja tumhaara Khaar jaisa ho gaya

Asad Bijnori Alig

MORE BYAsad Bijnori Alig

    jis ghaḌī lahja tumhārā ḳhaar jaisā ho gayā

    dil bahut nāzuk thā merā reza reza ho gayā

    kaise kahte ho ise tum ye vafā hai misāl

    aa.ine meñ jo bhī aaya ye usī ho gayā

    kis honā hai tumheñ ye hai tumhārā mas.ala

    mujh ko honā thā kisī so tumhārā ho gayā

    ek din jhagḌe 'ādat ham ko laa.ī thī qarīb

    ek din is pe ham donoñ jhagḌā ho gayā

    ik zarā āñkhoñ pe chashma lagnā baaqī thā mirī

    saaf us ke baa'd to har ek chehra ho gayā

    maiñ na kahtā thā faqat dīdār hai is 'ilāj

    dekh tujh ko dekh kar bīmār achchhā ho gayā

    sīḌhiyāñ shohrat chaḌhte dekh kar mujh ko 'asad'

    dostoñ bhī mirī jānib nishāna ho gayā

    jis ghaDi lahja tumhaara KHar jaisa ho gaya

    dil bahut nazuk tha mera reza reza ho gaya

    kaise kahte ho ise tum ye wafa ki hai misal

    aaine mein jo bhi aaya ye usi ka ho gaya

    kis ka hona hai tumhein ye hai tumhaara masala

    mujh ko hona tha kisi ka so tumhaara ho gaya

    ek din jhagDe ki 'adat hum ko lai thi qarib

    ek din is pe hi hum donon ka jhagDa ho gaya

    ek zara aankhon pe chashma lagna baqi tha meri

    saf us ke ba'd to har ek chehra ho gaya

    main na kahta tha faqat didar hai is ka 'ilaj

    dekh tujh ko dekh kar bimar achchha ho gaya

    siDhiyan shohrat ki chaDhte dekh kar mujh ko 'asad'

    doston ka bhi meri jaanib nishana ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now