Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ka badan gulab tha wo yar bhi nahin

Parkash Fikri

jis ka badan gulab tha wo yar bhi nahin

Parkash Fikri

MORE BYParkash Fikri

    jis badan gulāb thā vo yaar bhī nahīñ

    ab ke baras bahār ke āsār bhī nahīñ

    peḌoñ pe ab bhī chhā.ī haiñ ThanDī udāsiyāñ

    imkān jashn-e-rañg is baar bhī nahīñ

    dariyā ke iltifāt se itnā bas huā

    tishna nahīñ haiñ hoñT to sarshār bhī nahīñ

    rāhoñ ke pech-o-ḳham bhī use dekhne shauq

    chalne ko tez dhuup meñ tayyār bhī nahīñ

    bichhḌe huoñ yaad nibhāte haiñ jaan kar

    varna kisī ko bhūlnā dushvār bhī nahīñ

    jitnā sitam-shi.ār hai ye dil ye apnā dil

    utne sitam-shi.ār to aġhyār bhī nahīñ

    ahl-e-hunar ke baab meñ us bhī zikr ho

    'fikrī' ko aisī baat pe isrār bhī nahīñ

    jis ka badan gulab tha wo yar bhi nahin

    ab ke baras bahaar ke aasar bhi nahin

    peDon pe ab bhi chhai hain ThanDi udasiyan

    imkan jashn-e-rang ka is bar bhi nahin

    dariya ke iltifat se itna hi bas hua

    tishna nahin hain honT to sarshaar bhi nahin

    rahon ke pech-o-KHam bhi use dekhne ka shauq

    chalne ko tez dhup mein tayyar bhi nahin

    bichhDe huon ki yaad nibhate hain jaan kar

    warna kisi ko bhulna dushwar bhi nahin

    jitna sitam-shiar hai ye dil ye apna dil

    utne sitam-shiar to aghyar bhi nahin

    ahl-e-hunar ke bab mein us ka bhi zikr ho

    'fikri' ko aisi baat pe israr bhi nahin

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jis ka badan gulab tha wo yar bhi nahin Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now