Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ka badan hai KHushbu jaisa jis ki chaal saba si hai

Yusuf Zafar

jis ka badan hai KHushbu jaisa jis ki chaal saba si hai

Yusuf Zafar

MORE BYYusuf Zafar

    jis badan hai ḳhushbū jaisā jis chaal sabā hai

    us ko dhyān meñ lā.ūñ kaise vo sapnoñ baasī hai

    phūloñ ke gajre toḌ ga.ī ākāsh pe shaam salonī shaam

    vo raajā ḳhud kaise hoñge jin ye chanchal daasī hai

    kaalī badriyā siip siip to buuñd buuñd se bhar jā.egā

    dekh ye bhūrī miTTī to bas mere ḳhuun pyāsī hai

    jañgal mele aur shahroñ meñ dharā kyā hai mere liye

    jag jag jis ne saath diyā hai vo to merī udāsī hai

    lauT ke us ne phir nahīñ dekhā jis ke liye ham jiite haiñ

    dil bujhānā ik andher hai yuuñ to baat zarā hai

    chāñd-nagar se aane vaalī miTTī kañkar rol ke laa.e

    dhartī-māñ chup hai jaise kuchh soch rahī ho ḳhafā hai

    har raat us bāteñ sun kar tujh ko niiñd aatī hai 'zafar'

    har raat usī bāteñ chheḌeñ ye to ajab biptā hai

    jis ka badan hai KHushbu jaisa jis ki chaal saba si hai

    us ko dhyan mein laun kaise wo sapnon ka basi hai

    phulon ke gajre toD gai aakash pe sham saloni sham

    wo raja KHud kaise honge jin ki ye chanchal dasi hai

    kali badriya sip sip to bund bund se bhar jaega

    dekh ye bhuri miTTi to bas mere KHun ki pyasi hai

    jangal mele aur shahron mein dhara hi kya hai mere liye

    jag jag jis ne sath diya hai wo to meri udasi hai

    lauT ke us ne phir nahin dekha jis ke liye hum jite hain

    dil ka bujhana ek andher hai yun to baat zara si hai

    chand-nagar se aane wali miTTi kankar rol ke lae

    dharti-man chup hai jaise kuchh soch rahi ho KHafa si hai

    har raat us ki baaten sun kar tujh ko nind aati hai 'zafar'

    har raat usi ki baaten chheDen ye to ajab bipta si hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now