Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ka hona mera hona banta hai

Muneer Jafri

jis ka hona mera hona banta hai

Muneer Jafri

MORE BYMuneer Jafri

    jis honā merā honā bantā hai

    vo duniyā ke aage baunā bantā hai

    ham to farz nibhāte haiñ majbūrī

    hañsne buniyād khilaunā bantā hai

    jis meñ apne paañv bhigo le vo ik baar

    us dariyā paanī sonā bantā hai

    ḳhāmoshī iz.hār meñ Dhal kar baat banī

    hone buniyād na honā bantā hai

    umroñ mazdūrī lagtī hai us par

    lamhoñ meñ to vaqt konā bantā hai

    maiñ dushman maut pe kaise raqs karūñ

    merā to is dukh meñ ronā bantā hai

    pahle us ko baaġh salāmī detā hai

    baad meñ har ik phuul bichhaunā bantā hai

    is parcham meñ badbū hai ġhaddārī

    is parcham ko ḳhuun se dhonā bantā hai

    auroñ to bār-e-garāñ hai maan liyā

    apnā apnā bojh to Dhonā bantā hai

    us jism november ḳhurshīd 'munīr'

    us paikar dhuup meñ sonā bantā hai

    jis ka hona mera hona banta hai

    wo duniya ke aage bauna banta hai

    hum to farz nibhate hain majburi ka

    hansne ki buniyaad khilauna banta hai

    jis mein apne panw bhigo le wo ek bar

    us dariya ka pani sona banta hai

    KHamoshi izhaar mein Dhal kar baat bani

    hone ki buniyaad na hona banta hai

    umron ki mazduri lagti hai us par

    lamhon mein to waqt ka kona banta hai

    main dushman ki maut pe kaise raqs karun

    mera to is dukh mein rona banta hai

    pahle us ko bagh salami deta hai

    baad mein har ek phul bichhauna banta hai

    is parcham mein badbu hai ghaddari ki

    is parcham ko KHun se dhona banta hai

    auron ka to bar-e-garan hai man liya

    apna apna bojh to Dhona banta hai

    us ka jism nowember ka KHurshid 'munir'

    us paikar ki dhup mein sona banta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now