jis ki KHatir meri din-dari gai
jis kī ḳhātir mirī dīn-dārī ga.ī
vo bhī duniyā na mujh se savārī ga.ī
jo tire saath ik shab guzārī ga.ī
zindagī bhar na us kī ḳhumārī ga.ī
raunaqeñ haiñ na ab haiñ vo rā'nā.iyāñ
bazm se kyā sadārat hamārī ga.ī
vaqt ne chhīn liiñ saarī āsā.isheñ
shāhzāde kī kab vaz'-dārī ga.ī
the mohabbat ke ādāb pesh-e-nazar
dil kī ḳhvāhish to dil hī meñ maarī ga.ī
jis ki KHatir meri din-dari gai
wo bhi duniya na mujh se sawari gai
jo tere sath ek shab guzari gai
zindagi bhar na us ki KHumari gai
raunaqen hain na ab hain wo ra'naiyan
bazm se kya sadarat hamari gai
waqt ne chhin lin sari aasaishen
shahzade ki kab waz'-dari gai
the mohabbat ke aadab pesh-e-nazar
dil ki KHwahish to dil hi mein mari gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.