Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ki sifat qahr-o-ghazab ke siwa nahin

Riyaz Ghazipuri

jis ki sifat qahr-o-ghazab ke siwa nahin

Riyaz Ghazipuri

MORE BYRiyaz Ghazipuri

    jis sifāt qahr-o-ġhazab ke sivā nahīñ

    vaa.iz vo ḳhudā hai hamārā ḳhudā nahīñ

    chāragarī karte the da.avā bahut magar

    tum se ilāj-e-dard-e-mohabbat huā nahīñ

    kyā jaane ab ke aa.ī hai kaisī ye fasl-e-gul

    pahlī vo chaman mo.attar fazā nahīñ

    ai charḳh ne saare jahāñ ko kiyā tabāh

    afsos tere hāthoñ se koī bachā nahīñ

    bahr-e-alam meñ roz hai tūfāñ sāmnā

    TuuTī hai naav past magar hausla nahīñ

    bhūle se bhī na karnā zamāne e.atibār

    sab kuchh hai is jahān meñ lekin vafā nahīñ

    kashtī ko ḳhauf kyā ho talātum ai 'riyāz'

    hāfiz mirā ḳhudā hai agar nāḳhudā nahīñ

    jis ki sifat qahr-o-ghazab ke siwa nahin

    waiz ka wo KHuda hai hamara KHuda nahin

    chaaragari ka karte the dawa bahut magar

    tum se ilaj-e-dard-e-mohabbat hua nahin

    kya jaane ab ke aai hai kaisi ye fasl-e-gul

    pahli si wo chaman ki moattar faza nahin

    ai charKH tu ne sare jahan ko kiya tabah

    afsos tere hathon se koi bacha nahin

    bahr-e-alam mein roz hai tufan ka samna

    TuTi hai naw past magar hausla nahin

    bhule se bhi na karna zamane ka eatibar

    sab kuchh hai is jahan mein lekin wafa nahin

    kashti ko KHauf kya ho talatum ka ai 'riyaz'

    hafiz mera KHuda hai agar naKHuda nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now