Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ko apna bana liya tu ne

Rasheed Khan Rahi

jis ko apna bana liya tu ne

Rasheed Khan Rahi

MORE BYRasheed Khan Rahi

    jis ko apnā banā liyā ne

    us ko sab kuchh atā kiyā ne

    ai sitamgar ye kyā kiyā ne

    apnā ghar bhī jalā liyā ne

    gumrahī meñ paḌe hue the log

    manziloñ pata diyā ne

    pīchhe pīchhe jo mere chalte the

    un ko aage baḌhā diyā ne

    pārsā.ī jis ko da.avā thā

    us ko mai-kash banā diyā ne

    buġhz-o-nafrat ye natīja hai

    dostoñ ko bhulā diyā ne

    har kisī ko haqīr samjhe hai

    ḳhud ko kitnā girā diyā ne

    fikr manzil jab huī 'rāhī'

    naqsh-e-pā miTā diyā ne

    jis ko apna bana liya tu ne

    us ko sab kuchh ata kiya tu ne

    ai sitamgar ye kya kiya tu ne

    apna ghar bhi jala liya tu ne

    gumrahi mein paDe hue the log

    manzilon ka pata diya tu ne

    pichhe pichhe jo mere chalte the

    un ko aage baDha diya tu ne

    parsai ka jis ko dawa tha

    us ko mai-kash bana diya tu ne

    bughz-o-nafrat ka ye natija hai

    doston ko bhula diya tu ne

    har kisi ko haqir samjhe hai

    KHud ko kitna gira diya tu ne

    fikr manzil ki jab hui 'rahi'

    naqsh-e-pa hi miTa diya tu ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now