Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ko jaana tha kal tak KHuda ki tarah

Shola Haspanvi

jis ko jaana tha kal tak KHuda ki tarah

Shola Haspanvi

MORE BYShola Haspanvi

    jis ko jaanā thā kal tak ḳhudā tarah

    aaj miltā hai vo āshnā tarah

    merī hastī bhī ho jā.egī jāvedāñ

    dast-e-qātil uThā hai duā tarah

    us ke hāthoñ pe haiñ mere ḳhuuñ ke nishāñ

    jo mahakte haiñ rañg-e-hinā tarah

    justujū hai mujhe aaj us shaḳhs

    jo vafā bhī kare bevafā tarah

    rāh-e-manzil meñ baiTho na yuuñ haar kar

    rauñde jāoge tum naqsh-e-pā tarah

    kārvāñ kārvāñ pahuñche manzil pe ham

    rah badaltī rahī rahnumā tarah

    jis ko jaana tha kal tak KHuda ki tarah

    aaj milta hai wo aashna ki tarah

    meri hasti bhi ho jaegi jawedan

    dast-e-qatil uTha hai dua ki tarah

    us ke hathon pe hain mere KHun ke nishan

    jo mahakte hain rang-e-hina ki tarah

    justuju hai mujhe aaj us shaKHs ki

    jo wafa bhi kare bewafa ki tarah

    rah-e-manzil mein baiTho na yun haar kar

    raunde jaoge tum naqsh-e-pa ki tarah

    karwan karwan pahunche manzil pe hum

    rah badalti rahi rahnuma ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now