Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis mein ho dozaKH ka Dar kya lutf us jine mein hai

Arsh Malsiyani

jis mein ho dozaKH ka Dar kya lutf us jine mein hai

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    jis meñ ho dozaḳh Dar kyā lutf us jiine meñ hai

    tauba karne meñ kahāñ vo jo mazā piine meñ hai

    ḳhushk bātoñ meñ kahāñ ai shaiḳh kaif-e-zindagī

    vo to kar milegā jo mazā piine meñ hai

    maiñ tirī tahqīr kar saktā nahīñ ai zabt-e-shauq

    mere siine meñ rahegā raaz jo siine meñ hai

    'arsh' par dekhā jo ne ai nigāh-e-dūr-bīñ

    aa dikhā.ūñ maiñ vahī jalva mire siine meñ hai

    jis mein ho dozaKH ka Dar kya lutf us jine mein hai

    tauba karne mein kahan wo jo maza pine mein hai

    KHushk baaton mein kahan ai shaiKH kaif-e-zindagi

    wo to pi kar hi milega jo maza pine mein hai

    main teri tahqir kar sakta nahin ai zabt-e-shauq

    mere sine mein rahega raaz jo sine mein hai

    'arsh' par dekha jo tu ne ai nigah-e-dur-bin

    aa dikhaun main wahi jalwa mere sine mein hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 258)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now