Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ne mere sar par tohmat rakkhi hai

Sanjay Mishra Shauq

jis ne mere sar par tohmat rakkhi hai

Sanjay Mishra Shauq

MORE BYSanjay Mishra Shauq

    jis ne mere sar par tohmat rakkhī hai

    maiñ ne us ke ghar izzat rakkhī hai

    baat alag hai fāqa-mast faqīroñ

    Thokar meñ duniyā daulat rakkhī hai

    amrit jal le jaao ki us ne hāthoñ meñ

    kuaañ khodne-bhar tāqat rakkhī hai

    maiñ ne to dutkār diyā sau baar use

    lekin us ne merī izzat rakkhī hai

    safar bahut mushkil hai paapī duniyā

    izzat ke pīchhe zillat rakkhī hai

    mazdūroñ ko phal se kyā lenā-denā

    un ke hisse meñ to mehnat rakkhī hai

    ghar ke bāhar bhiiḌ lagī hai mañgtoñ

    jaise mere ghar meñ daulat rakkhī hai

    maañ rutba sab se ūñchā hai 'sanjai'

    us ke paañv ke nīche jannat rakkhī hai

    jis ne mere sar par tohmat rakkhi hai

    main ne us ke ghar ki izzat rakkhi hai

    baat alag hai faqa-mast faqiron ki

    Thokar mein duniya ki daulat rakkhi hai

    amrit jal le jao ki us ne hathon mein

    kuan khodne-bhar ki taqat rakkhi hai

    main ne to dutkar diya sau bar use

    lekin us ne meri izzat rakkhi hai

    safar bahut mushkil hai papi duniya ka

    izzat ke pichhe hi zillat rakkhi hai

    mazduron ko phal se kya lena-dena

    un ke hisse mein to mehnat rakkhi hai

    ghar ke bahar bhiD lagi hai mangton ki

    jaise mere ghar mein daulat rakkhi hai

    man ka rutba sab se uncha hai 'sanjai'

    us ke panw ke niche jannat rakkhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now