jis ne tamir mein ek umr guzari main hun
jis ne tā'mīr meñ ik 'umr guzārī maiñ huuñ
jis kī fitrat hai bahut dard-shi’ārī maiñ huuñ
bhūltā kyoñ hai ki tū but huā kartā thā kabhī
bhūltā kyoñ hai tirā pahlā pujārī maiñ huuñ
aap ḳhāmosh raheñ aap tamāshā.ī haiñ
shor kā kaam hai merā ki madārī maiñ huuñ
apne hirnoñ ko maiñ ye baat batā.ūñ kaise
ek iklautā yahāñ in kā shikārī maiñ huuñ
tīs-battīs baras meñ huā hai pahlī baar
zehn par apne ka.ī roz se taarī maiñ huuñ
saath ho jaa.eñ to duniyā ko banā deñ rangīn
rang tujh par haiñ sabhī aur lalārī maiñ huuñ
jis ne ta'mir mein ek 'umr guzari main hun
jis ki fitrat hai bahut dard-shi’ari main hun
bhulta kyon hai ki tu but hua karta tha kabhi
bhulta kyon hai tera pahla pujari main hun
aap KHamosh rahen aap tamashai hain
shor ka kaam hai mera ki madari main hun
apne hirnon ko main ye baat bataun kaise
ek iklauta yahan in ka shikari main hun
tis-battis baras mein hua hai pahli bar
zehn par apne kai roz se tari main hun
sath ho jaen to duniya ko bana den rangin
rang tujh par hain sabhi aur lalari main hun
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 76)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.