Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis tarah bachche buzurgon ke charan chumte hain

Aalam Nizami

jis tarah bachche buzurgon ke charan chumte hain

Aalam Nizami

MORE BYAalam Nizami

    jis tarah bachche buzurgoñ ke charan chūmte haiñ

    ham mohabbat se mohabbat badan chūmte haiñ

    muñh lagāte nahīñ bāzār ke phūloñ ko kabhī

    ham faqat apne gulāboñ ke dahan chūmte haiñ

    maiñ ne hālāt pe rakkhī hai ġhazal buniyād

    is liye log mirā rang-e-suḳhan chūmte haiñ

    muñh pe mal lete haiñ ham ḳhāk-e-madīna tarah

    maañ ke qadmoñ tarah ḳhāk-e-vatan chūmte haiñ

    zindagī meñ to unheñ bojh samajhte haiñ magar

    log marne pe buzurgoñ kafan chūmte haiñ

    aur baḌh jaatā hai manzil pe pahuñchne surūr

    aable jab mire pairoñ thakan chūmte haiñ

    jis tarah bachche buzurgon ke charan chumte hain

    hum mohabbat se mohabbat ka badan chumte hain

    munh lagate nahin bazar ke phulon ko kabhi

    hum faqat apne gulabon ke dahan chumte hain

    main ne haalat pe rakkhi hai ghazal ki buniyaad

    is liye log mera rang-e-suKHan chumte hain

    munh pe mal lete hain hum KHak-e-madina ki tarah

    man ke qadmon ki tarah KHak-e-watan chumte hain

    zindagi mein to unhen bojh samajhte hain magar

    log marne pe buzurgon ka kafan chumte hain

    aur baDh jata hai manzil pe pahunchne ka surur

    aable jab mere pairon ki thakan chumte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now