jis tarah hum hain zindagi ke baghair
jis tarah ham haiñ zindagī ke baġhair
koī rahtā nahīñ kisī ke baġhair
haal ab pūchh le mirā tū bhī
ro rahā huuñ maiñ ḳhāmushī ke baġhair
ab kabhī lauT kar nahīñ aanā
jiinā aatā hai ab sabhī ke baġhair
chhoḌ jaanā hai to chale jaa.eñ
koī martā nahīñ kisī ke baġhair
ek din log pūchh hī leñge
kaise rahte ho shā'irī ke baġhair
aap bas dafn kar deñ mujh ko dost
mar gayā huuñ maiñ ḳhud-kushī ke baġhair
jis tarah hum hain zindagi ke baghair
koi rahta nahin kisi ke baghair
haal ab puchh le mera tu bhi
ro raha hun main KHamushi ke baghair
ab kabhi lauT kar nahin aana
jina aata hai ab sabhi ke baghair
chhoD jaana hai to chale jaen
koi marta nahin kisi ke baghair
ek din log puchh hi lenge
kaise rahte ho sha'iri ke baghair
aap bas dafn kar den mujh ko dost
mar gaya hun main KHud-kushi ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.