jis waqt raushni ka tasawwur muhaal tha
jis vaqt raushnī kā tasavvur muhāl thā
us shaḳhs kā charāġh jalānā kamāl thā
us ne bisāt ulaT dī mirī ek chaal par
maiñ bhī samajh gayā jo use ehtimāl thā
rasta alag banā hī liyā maiñ ne sāhabo
har-chand dā.ere se nikalnā muhāl thā
afsos apnī jaan kā saudā na kar sake
us vaqt qīmatoñ meñ balā kā uchhāl thā
kuchh ġhaib kī sadāoñ ne mujh ko kiyā niDhāl
kuchh apne hī sukūt se maiñ pā.emāl thā
jis rut meñ vo milā thā usī meñ judā huā
us ke visāl-o-hijr meñ bhī e'tidāl thā
jis waqt raushni ka tasawwur muhaal tha
us shaKHs ka charagh jalana kamal tha
us ne bisat ulaT di meri ek chaal par
main bhi samajh gaya jo use ehtimal tha
rasta alag bana hi liya main ne sahabo
har-chand daere se nikalna muhaal tha
afsos apni jaan ka sauda na kar sake
us waqt qimaton mein bala ka uchhaal tha
kuchh ghaib ki sadaon ne mujh ko kiya niDhaal
kuchh apne hi sukut se main paemal tha
jis rut mein wo mila tha usi mein juda hua
us ke visal-o-hijr mein bhi e'tidal tha
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 109)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.