Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jise maine subh samajh liya kahin ye bhi sham-e-alam na ho

Mumtaz Naseem

jise maine subh samajh liya kahin ye bhi sham-e-alam na ho

Mumtaz Naseem

MORE BYMumtaz Naseem

    jise maiñ ne sub.h samajh liyā kahīñ ye bhī shām-e-alam na ho

    mire sar aap ne khaa.ī jo kahīñ ye bhī jhūTī qasam na ho

    vo jo muskurā.e haiñ be-sabab ye karam bhī un sitam na ho

    maiñ ne pyaar jis ko samajh liyā kahīñ ye bhī merā bharam na ho

    jo hasb-e-va.ada na aa sakā to bahānā aisā nayā banā

    ki tirā vaqār bhī kam na ho mirā e.atibār bhī kam na ho

    jise dekh kar maiñ ThiThak ga.ī use aur ġhaur se dekh luuñ

    ye chamak rahā hai jo aa.ina kahīñ terā naqsh-e-qadam na ho

    mire muñh se niklā ye barmalā tujhe shaad kāmrāñ rakhe ḳhudā

    payām laayā hai yaar tirī umr ḳhizr se kam na ho

    jise main ne subh samajh liya kahin ye bhi sham-e-alam na ho

    mere sar ki aap ne khai jo kahin ye bhi jhuTi qasam na ho

    wo jo muskurae hain be-sabab ye karam bhi un ka sitam na ho

    main ne pyar jis ko samajh liya kahin ye bhi mera bharam na ho

    tu jo hasb-e-wada na aa saka to bahana aisa naya bana

    ki tera waqar bhi kam na ho mera eatibar bhi kam na ho

    jise dekh kar main ThiThak gai use aur ghaur se dekh lun

    ye chamak raha hai jo aaina kahin tera naqsh-e-qadam na ho

    mere munh se nikla ye barmala tujhe shad kaamran rakhe KHuda

    tu payam laya hai yar ka teri umr KHizr se kam na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now