jism bacha hai jaane bhar ka
jism bacha hai jaane bhar kā
sirf kafan pahnāne bhar kā
kaisā lā-mahdūd jahāñ thā
raqba thā maiḳhāne bhar kā
ik aisī tasvīr huuñ jis meñ
rang nahīñ dhuñdlāne bhar kā
kuchh bhī nahīñ kah paa.e us se
vaqt thā haath hilāne bhar kā
is ilzām meñ sach to chhoḌo
jhuuT nahīñ jhuTlāne bhar kā
ham ik ghar ke aadhe vāris
dīvāna vīrāne bhar kā
in suunī rāhoñ meñ 'shāriq'
kaam nahīñ bhaTkāne bhar kā
jism bacha hai jaane bhar ka
sirf kafan pahnane bhar ka
kaisa la-mahdud jahan tha
raqba tha maiKHane bhar ka
ek aisi taswir hun jis mein
rang nahin dhundlane bhar ka
kuchh bhi nahin kah pae us se
waqt tha hath hilane bhar ka
is ilzam mein sach to chhoDo
jhuT nahin jhuTlane bhar ka
hum ek ghar ke aadhe waris
diwana virane bhar ka
in suni rahon mein 'shaariq'
kaam nahin bhaTkane bhar ka
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 79)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.